Posts

Showing posts from May, 2023

Tafseer, Taweel, Tehreef

Tafseer, Taweel, Tehreef Tafseer:- Tafseer ke maane poosheeda chez ko zahir karne ke hain chunanche kaha gaya hai  وهو كشف ما غطي وهو بيان المعاني المعقولة yaani dhanpi hoovi chez ko zahir karna. maane maqool bayan karna pas jho chez kisi shai ki marifat aur uske maani batlati hai woh Tafseer kehlati hai. Tafseer ke liye naql k zaroorat hai. matlab ye ke Quran ki tafseer mehez apni ra'ye se karna haram hai. Is se yeh bhi malum hova ke tafseer use kehte hain ke Quran ke woh ahwaal bayan karna jho ke aql se malum na houn. Jaise Aayath ka shaan-e-nuzool ya Aayat ka nusq agar koi saqs hawale ke bagair apni ra'ai se kehde ke fulaan aqayat mansooq hai ya fulaan aayath ka ye shaan-e-nuzool hai ye moutabar nahi. aur kehne wala gunahgaar hoga. Chunanche miska'at kitab-ul-ilm fazl duwam mein hai  من قال في القرآن برايه فليتبوء مقعده من النار۔ yaani jho shaqs ne Quran mein apni ra'ai se kuch kaha tho woh apni jagah jahanam mein bana le. Neez isi miska'at mein isi jagah hai  من