Posts

Showing posts from January, 2022

Tafseer ‘NOOR E EMAN’🌷 Par kiye gaye Aeterazat ka radd.. Urdu + Roman combined..

 Tafseer  ‘NOOR E EMAN’🌷  Par kiye gaye Aeterazat ka radd..  Urdu + Roman combined.. Download from Here 👇 Download

Tafseer Noor-e-iman (Surah-e-Fatiha)

Image
تفسیر سورۃ آلفاتحہ سورۃ فاتحہ قرآن 🌷 کی جان ہے اس کو اُمّ الكتاب بھی کہتے ہیں ۔ اس کے کئی نام ہیں مشلً سورۂ شفا ،سبع مثانی سورة الحمد، ام القرآن، فاتحة الكتاب، الوافيہ، الکافیہ۔  اس میں خدا 💞 کی تعریف، بندے کی غلامی خدا 💞 اور بندوں کے درمیان رشتہ کے بیان کے علاوہ بندوں کو تعلیم دی گئی ہے کہ وہ اللہ 💞 سے صراط مستقیم کی ہدایت مانگیں چنانچہ اللہ 💞 نے یہ سورة بندوں کی زبان سےکہلوائی ۔ بندوں نے ہدایت مانگی (اهدنا) یعنی ہم کو ہدایت دے ۔ خدا نے آنحضرتﷺ 💕 کے ذریہ قرآن🌷 کو اس سوال کے جواب کے بطور نازل فرمایا ۔ جب آنحضرتﷺ 💕 اس خیال سے کہ آپ بھول جائیں جبرئیل علیہ السلام⁦ ❤️⁩ کے ساتھ ساتھ جلدی پڑھتے تھے تو اللہ 💞 نے آپﷺ 💕 کو اس سے منع کرتے ہوئے فرمایا کہ اپنی زبان جلدی جلدی مت چلاؤ۔ بلکہ اطمینان سے سنتے رہو پھر ان کے پڑھنے کی اتباع کرو۔ اس کا جمع کرنا اور پڑھانا ہمارے زمہ ہے ۔ چنانچہ اللہ 💞 نے پڑھا نے کا انتظام فرمادیا ۔ (پھر حضرت ابو بکر۔ؓ⁦❤️⁩ کے زمانے میں ایک جگہ جمع کر دیا گیا اور حضرت عثمان ؓ ⁦ ❤️⁩ کے زمانے میں اسکی کئی نسخے بنائے گئے ) اور اللہ 💞 نے فرمایا ثم ان علينا بیانہ پھر

Seerat-e-Ummul Musaddiqeen Hazrata BiBi Ilahdaadi Rz ❤️

Image
Ummul momineen aur ummul Musaddiqeen ka islam mein bada martaba hai. Allah taala 💞 ne un par azeem ahsaan ataa karte huve nabiyoun, Rasooloun aur khalifathullah ke azwaaj-e-mutahrat mein un ka shumaar kiya. unhi azwaaj-e-mutahrat mein Hazratha Bi Bi Ilahdaadi Rz❤️⁩ bhi hain. Hazratha Bi Bi Ilahdaadi Rz❤️ ⁩ 855 H mein jaunpur mein paida huve aur 866 H mein Aap Rz❤️⁩ ka nikah khalifatullah mubaiyin-e-kalaamullah Hazrath Meeran syed Mohammad Mehdi Maoud A.S💕 se jounpur mein hi huwa, Nikah ke waqt BiBi ki Umar 11 saal aur Hazrath MehdiA.S💕 ki Umar shareef 19 saal thi . Bibi Ilahdaadi Rz❤️⁩ ki zaat-e-mubarak tamam insani khoobiyoun aur ikhlaqi bulandiyoun se mamoor theen. Isaar, hamdardi, sabr, istiqamat, khuloos, mohabbat, Zuhad o taqwa, dayanatdari, khush khalqi, gharz Aap Rz❤️⁩ ki seerat mein har woh sift moujood thi jo bargaah-e-rab ulizzat ne qabuliat ka darja rakhti thi. hamdardi aur insaaniyat ka yeh haal tha ke Aap Rz❤️⁩ ke makaan se koi sahil bhi

Seerat-e-Rasool Allah ﷺ 💕

Tafseer Surah-e-F'il Allah 💞 ne Hathi waloun ke saath kya kiya is ka haal makke ke bache bache ko malum tha kyoun ke ye waqiya  Huzoorﷺ 💕ki wiladat basa'adt se chand mah pehle hi huwa tha isi liye  Allah 💞taala farmata hai ke kya  Aapﷺ 💕 ne nahi dekha  ashaab-e-feel  ki tabahi ka qissa yeh hai ke habshi ke badshah ki taraf se Yamen mein  Abrah  Nami ek haakim tha jab is ne dekha ke log hajj ke mausam mein kaaba ki taraf joq dar joq jatay hain to is ne sana'a mein Ek khubsurat ghar banaya aur habshi ke badshah ko malum kiya ke mein ne badshah ke liye ek imarath banai hai ke aaj tak kisi badshah ke liye aisi imarat kisi ne nahi banayi badshah khush huwa phir is ne kaha mein yeh chahta houn ke is ghar ki taraf hajj ke liye logon ko anay par majboor karoon ga lekin jab log nahi aaye tho is ne socha ke jab tak  kaaba🕋  moujood hai log is ghar ka rukh bhi nahi karein ge is liye pehle kaaba ko manhadim karna hoga. apne is mansoobe ki is ne badshah ko ittila di aur woh  hathi