Seerat-e-Rasool Allah ﷺ 💕

Tafseer Surah-e-F'il

Allah💞 ne Hathi waloun ke saath kya kiya is ka haal makke ke bache bache ko malum tha kyoun ke ye waqiya Huzoorﷺ💕ki wiladat basa'adt se chand mah pehle hi huwa tha isi liye Allah💞taala farmata hai ke kya Aapﷺ💕 ne nahi dekha ashaab-e-feel ki tabahi ka qissa yeh hai ke habshi ke badshah ki taraf se Yamen mein Abrah Nami ek haakim tha jab is ne dekha ke log hajj ke mausam mein kaaba ki taraf joq dar joq jatay hain to is ne sana'a mein Ek khubsurat ghar banaya aur habshi ke badshah ko malum kiya ke mein ne badshah ke liye ek imarath banai hai ke aaj tak kisi badshah ke liye aisi imarat kisi ne nahi banayi badshah khush huwa phir is ne kaha mein yeh chahta houn ke is ghar ki taraf hajj ke liye logon ko anay par majboor karoon ga lekin jab log nahi aaye tho is ne socha ke jab tak kaaba🕋 moujood hai log is ghar ka rukh bhi nahi karein ge is liye pehle kaaba ko manhadim karna hoga. apne is mansoobe ki is ne badshah ko ittila di aur woh hathi🐘 bhejnay ki farmaaish ki jho quwath aur jism mein bohath bara tha jis ka naam Mehmood tha kehte hain ke is ke sath aur 12 hathi🐘 bhi aaye. Ek riwayath ye bhi aayi hai ke arbiyoun ka ek qaafila tijarath ke liye Yamen🇾🇪 gaya tha. wahan saahil ke qareeb padaou huwa, raat mein aag🔥 silgayi khana tayyar kiya kha'aye is ke baad is aag🔥 ko bujhaye baghair wahan se chale gaye.Qareeb mein Nasranioun ka ek girja⛪(church/temple) tha jise arab Haikal kehte the.Garmi ke din the hawa chali aag🔥 peheli aur woh Haikal⛪ is ki zad mein aakar jal kar khakistar hogaya. Badshah ko khabar huwi tho woh bohat gussa huwa daryafth karne par maloom huwa ke yeh kaam arboun ne kiya tho us ne abraha ko kaaba🕋 dahne ke liye bheja. Abrah lashkar ke sath aaya Maghmas mein tehra aur numa'indoun ko makkah ki taraf bheja jho Abdul mutalib ⁦Rz❤️⁩ se mila aur kaha Abrah ne hum ko bheja hai paigham yeh hai ke hum faqath Ka'aba🕋 giradein ge aur wapas chale jayen ge. hamara maqsad ladna nahi hai Abdul mutalib Rz❤️⁩ ne kaha woh jane aur us ka khayaal. wafad ne kaha ke Aap Rz❤️⁩ chaliye aur Abrah se mil kar jho kehna hai kahiye Abdul mutalib Rz❤️⁩ sath gaye. Bade wajhi aur shakeel the Abrah ne takht par baithna pasand nahi kiya neeche farsh par baitah Abdul mutalib Rz❤️⁩ se baat ki aur anay ka maqsad poocha. Abdul mutalib Rz❤️⁩ ne kaha ke tumahray logoun ne mere do sou (200) Oont (camel)🐫 le liye hain woh mujhe wapas mil jayein Abrah ne kaha jis waqt mein ne Aap Rz❤️⁩ ko dekha to mere dil mein jo izzat thi woh ab nahi rahi Abdul mutalib Rz❤️⁩ ne poocha kyun. Us ne kaha mein Ka'aba🕋 dahne ke liye aaya houn. Aap Rz❤️⁩ ne is baray mein ek lafz bhi nahi kaha halaanke woh tumhara aur tumahre baap dada ka deen hai. baat kar rahe hain tho apne do sou(200) Oontoun 🐫 ki Abdul mutalib Rz❤️⁩ ne kaha Oontoun 🐫 ka maalik mein houn mujhe un ki fikar hai Ka'abe🕋 ka rab Allah💞 hai us ki fikar woh kere ga. aur tum se Ka'abe🕋 ko bacha le ga Abrah ne kaha aaj koi ka'abe ko bacha nahi sakta. Oont 🐫  wapas kardiye gaye. Abdul mutalib Rz❤️⁩ ne logoun se kaha ladne bahadne ki zaroorath nahi. mehfooz maqamat par chalay jaou. Mehmood Haathi🐘 ko agay rakha gaya jab is ka rukh Ka'abe🕋 ki taraf kiya gaya tho woh bait gaya is ko laakh ma'ara pe'eta gaya lekin woh tass se mass nahi huwa, jab is ka rukh Yamen🇾🇪 aur shaam🇸🇾 ki taraf karte tho taiya'ar ho jata lekin jab haram🕋 ki taraf karte tho woh phir bait jata, dusre Haathiyoun🐘 ko lekar Abrah a'age badah itne mein samandar🌊 ki taraf se chote chote parindoun🐦 ke g'houl ke g'houl aaye, lashkar par chaa gaye har ek parinde ke paas teen kankariyan thi, dono panjoo mein do aur chonch mein ek, lashkar par kankariyoun ki bambaari huwi, a'an-e-wahid mein sab bhasm ho gaye. hathion🐘 aur oonton🐪 par jo kankariyan padhi un ka bhi wohi haal huwa bhagdar mach gayi bha'agne waale bhaag gaye. Abrah ko aisi bemari lag gayi ke hathoun ki ungliyan jhadne lage, bil akhir woh margaya ka'abatullah 🕋 ki Allah💞 ne hifazath karli. Isi ki taraf ishara karte huve Allah 💞 farmata hai kya Aapﷺ💕 ne nahi dekha, goya Aapﷺ💕 ko jho maluma'at haasil huve hain woh bilkul sacche hain. yeh sab hamare ghar ki hifazath ke liye bhi tha aur is mein Aapﷺ💕 ki Azmath bhi paish-e-nazar thi is liye ke Aapﷺ💕 isi saal isi shehar mein aur isi ghar ke paas is ghar ke maalik ka paigham duniya ke go'oshe go'oshe mein pohanchane wale ki haisiyath se paida hone wale the Allah💞 ko yeh bathana tha ke jab Aapﷺ💕 ke paida hone se pehle yeh inteza'am hum ne kiya tho kya Aapﷺ💕 ki tashreef aawari ke baad hum Aapﷺ💕 ko yun hi chor'dein ge.

Subhanallah 💖

اللہ💞 نے ہاتھی🐘 والوں کے ساتھ کیا کیا اس کا حال مکہ🕋 کے بچے بچے کو معلوم تھا کیوں کہ یہ واقعہ حضورﷺ💕 کی ولادت باسعادت سے چند ماہ پہلے ہی ہوا تھا۔ اسی لئے اللہ تعالیٰ💞 فرماتا ہے کہ کیا آپﷺ💕 نے نہیں دیکھا، اصحاب فیل کی تباہی کا قصہ یہ ہے کہ حبشہ کے بادشاہ کی طرف سے یمن میں ابرہہ نامی ایک حاکم تھا۔ جب اس نے دیکھا کہ لوگ حج کے موسم میں کعبہ🕋 طرف جوق در جوق جاتے ہیں تو اس نے صنعاء میں ایک خوبصورت گھر بنایا اور حبشہ کے بادشاہ کو معلوم کیا کہ میں نے بادشاہ کے لئے ایک عمارت بنائی ہے کہ آج تک کسی بادشاہ کے لئے ایسی عمارت کسی نے نہیں بنائی۔ بادشاہ خوش ہوا۔پھر اس نے کہا میں یہ چاہتا ہوں کہ اس گھر کی طرف حج کے لئے لوگوں کو آنے پر مجبور کروں گا لیکن جب لوگ نہیں آئے تو اس نے سوچا کہ جب تک کعبہ🕋 موجود ہے لوگ اس گھر کا رخ بھی نہیں کریں گے اس لئے پہلے کعبہ🕋 کو منہدم کرنا ہو گا۔ اپنے اس منصوبے کی اس نے بادشاہ کو اطلاع دی اور وہ ہاتھی🐘 بھیجنے کی فرمائش کی جو قوت اور جسم میں بہت بڑا تھا جس کا نام محمود تھا۔ کہتے ہیں کہ اس کے ساتھ اور ۱۲ ہاتھی🐘 بھی آئے۔ ایک روایت یہ بھی آئی ہے کہ عربوں کا ایک قافلہ تجارت کے لئے یمن گیا تھا۔ وہاں ساحل کے قریب پڑاو ہوا ۔ رات میں آگ🔥 سلگائی ۔ کھانا تیار کیا کھائے اس کے بعد اس آگ🔥 کو بجھائے بغیر وہاں سے چلے گئے ۔قریب میں نصرانیوں کا ایک گرجا⛪ تھا جسے عرب ہیکل کہتے تھے۔ گرمی کے دن تھے ہوا چلی آگ🔥 پھیلی اور وہ ہیکل⛪ اس کی زد میں آکر جل کر خاکستر ہوگیا  بادشاہ کو خبر ہوئی تو وہ بہت غصہ ہوا‌ دریافت کرنے پر معلوم ہوا کہ یہ کام عربوں نے کیا تو اس نے ابرہ کو کعبہ🕋 ڈھانے کے لئے بھیجا ۔  ابرہہ لشکر کے ساتھ آیا مغمس میں ٹہرا اور نمائندوں کو مکے کی طرف بھیجا چو عبد المطلب ؓ⁦❤️⁩ سے ملا اور کہا ابرہہ نے ہم کو بھیجا ہے پیغام یہ ہے کہ ہم فقط کعبہ🕋 گرا دیں گے اور واپس چلے جائیں گے ۔ ہمارا مقصد لڑنا نہیں ہے عبد المطلب ؓ ⁦❤️⁩ نے کہا وہ جانے اور اس کا خیال ۔ وفد نے کہا کہ  آپ ؓ⁦❤️⁩ چلئے اور ابرہہ سے مل کر جو کہنا ہے کہئے   عبد المطلب‌ ؓ⁦❤️⁩ ساتھ گئے ۔ بڑے وجیھ اور شکیل تھے ابرہہ نے تخت پر بیٹھنا پسند نہیں کیا نیچے فرش پر بیٹھا عبد المطلب ؓ⁦❤️⁩ سے بات کی اور آنے کا مقصد پوچھا ۔ عبد المطلب ؓ⁦❤️⁩ نے کہا کہ تمہارے لوگوں نے میرے دوسو اونٹ🐫 لے لئے ہیں وہ مجھے واپس مل جائیں ابرہہ نے کہا جس وقت میں نے آپ ؓ⁦❤️⁩ کو دیکھا تو میرے دل میں جو عزت تھی وہ اب نہیں رہی عبد المطلب ؓ⁦❤️⁩ نے پوچھا کیوں ۔ اس نے کہا میں کعبہ🕋 ڈھانے کے لئے آیا ہوں ۔ آپ ؓ⁦❤️⁩ نے اس بارے میں ایک لفظ بھی نہیں کہا حالانکہ وہ تمہارا اور تمہارے باپ دادا کا دین ہے ۔ بات کررہے ہیں تو اپنے دو سو اونٹوں 🐫 کی ۔ عبد المطلب ؓ⁦❤️⁩ نے کہا اونٹوں 🐫 کا مالک میں ہوں مجھے ان کی فکر ہے کعبہ🕋 کا رب اللہ ہے اس کی فکر وہ کرے گا ۔ اور تم سے کعبہ🕋 کو بچا لے گا ابرہہ نے کہا آج کوئی کعبہ🕋 کو بچا نہیں سکتا ۔اونٹ 🐫 و اپس کردئے گئے ۔ عبد  المطلب ؓ⁦❤️⁩ نے لوگوں سے کہا لڑنے بھڑنے کی ضرورت نہیں ۔ محفوظ مقامات پر چلے جاو۔ محمود ہاتھی🐘 کو آگے رکھا گیا جب اس کا رخ کعبہ🕋 کی طرف کیا گیا تو وہ بیٹھ گیا اس کو لاکھ مارا پیٹا گیا  لیکن وہ ٹس سے مس نہیں ہوا۔ جب اس کا رخ ⁦یمن⁦ اور شام  کی طرف کرتے تو تیار ہو جاتا لیکن جب حرم🕋 کی طرف کرتے تو وہ پھر بیٹھ جاتا ۔ دوسرے ہاتھیوں🐘 کو لیکر ابرہہ آگے بڑھا اتنے میں سمندر🌊 کی طرف سے چھوٹے چھوٹے پرندوں🐦 کے غول کے غول آئے ۔لشکر پر چھا گئے ہر ایک پرندے🐦 کے پاس تین کنکریاں تھیں ۔ دونوں پنجوں میں دو اور چونچ میں ایک ۔ لشکر پر کنکریوں کی بمباری ہوئی ۔ آن واحد میں سب بھسم ہو گئے ۔ ہاتھیوں🐘 اور اونٹوں🐪 پر جو کنکریاں پڑیں ان کا بھی وہی حال ہوا بھگڈر مچ گئی بھاگنے والے بھاگ گئے ۔ ابرہہ کو ایسی بیماری لگ گئی کہ ہاتھوں کی انگلیاں جھڑنے لگیں ۔ بالآخر وہ مرگیا کعبتہ اللہ🕋 کی اللہ💞 نے حفاظت کرلی۔ اسی کی طرف اشارہ کرتے ہوئے اللہ💞 فرماتا ہے کیا آپ ﷺ 💕 نے نہیں دیکھا ۔ گویا آپ ﷺ 💕 کو جو معلومات حاصل ہوئے ہیں وہ بلکل سچے ہیں ۔ یہ سب ہمارے گھر کی حفاظت کے لئے بھی تھا اور اس میں آپ ﷺ 💕 کی عظمت بھی پیش نظر تھی اس لئے کہ آپﷺ 💕 اسی سال اسی شہر میں اور اسی گھر کے پاس اس گھر کے مالک کا پیغام دنیا کے گوشے گوشے میں پہنچانے والے کی حیثیت سے پیدا ہونے والے تھے ۔ اللہ💞 کو یہ بتانا تھا کہ جب آپ ﷺ 💕 کے پیدا ہونے سے پہلے یہ انتظام ہم نے کیا تو کیا آپﷺ 💕 کی تشریف آوری کے بعد ہم آپﷺ 💕 کو یوں ہی چھوڑ دیں گے

سبحان اللہ 💖

Reference:- Tafseer Noor-e-iman

Is nacheez Bande ne kuch galat likha hoo tho badi meharbani sahi karrien

Comments

Popular posts from this blog

Tafseer Noor-e-iman (Surah-e-Fatiha)