Aaj ka paigham

Assalamalaikum vo rahmathullahi vo barkatuhu 


Aaj ka paigham


RAMADAN ka chand dekhne ki dua 

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه

Allahumma ahillahu 'alaina bil-amni wal-iman, was-salamati wal-Islam, Rabbi wa Rabbuk-Allah
(O Allah, let this moon appear on us with security and Iman; with safety and Islam. (O moon!) Your Rubb and mine is Allah. May this moon be bringing guidance and good)." [Tirmidhi]

Eh Allah hum par is chand ko Aman, imaan , salamati aur islam ke saath tulu farma (Eh chand) mera aur tera RAB Allah hi hai, ye chand hidayat aur khair wala ho.  Jamia Tirmidhi, hadis no/2(1376) 

HADEES: Farmaya RasoolAllah SWS ne "Jis kisi ne is mein (Maah-e Ramazan mein) Allah ki raza ki khatir bhala kaam kiya toh wo aam dino ke muqabil (Compared to the normal days out of Ramazan) ek farz ke barabar sawab kamaya. Aur jo koi is Mubarak Mahine mein ek farz amal ada karega (Jaise Namaz, ZikrUllah.) toh goya us ne aam dinon ke muqabil 70 guna zyada sawab kamaya (Kitab-e Hadees, Sahih lbn-e Khuzaymah Hadees No. 1887)



HADEES: RasoolAllah SWS ne farmaya ke "Jab Ramazan ki pahli raat aati hai toh asmano aur jannat ke darwaze khol diye jate hain aur aakhri raat tak band nahin hote, jo koi banda is Maah-e Mubarak ki kisi bhi raat mein Namaz parhta hai toh
Allah is ke har sajde ke sabab 1700 nekiyaan likhta hai aur is ke liye jannat mein surkh yaqoot (red-diamonds) ke ghar banata hai jis mein sattar hazar darwaze honge aur har darwaze ke dono patt sone ke honge. 

PAS, JO KOI MAAH-E RAMAZAN KA PAHLA ROZA RAKHTA HAI TOH ALLAH IZZ O JAL MAHEENE KE AAKHRI DIN TAK ISKE GUNAH MUAF FARMATA HAI.

Har wo din jis mein ye roza rakhega is har roze ke badle mein isay ek hazar sone ke darwazon wala mahel jannat mein ata hoga".

Agar hum sirf taraweeh ka hisab lagain tho ek din me 20 rakath yani 40 sajde matlab 40×1700=68,000 nekiyan hamare liye likh diye jaate hain (mashallah)
 
Is maukheka faida koi b gavana nahi chahta.

Is hadees ko aage rakhte hoove RAMADAN ki Mubarak baad dete hoove Dua karta hoon ki Allah tala ham sabko, kal, yaani RAMADAN ka Pehla 
Roza rakhne ki toufeekh de 
(Ameen)


Lekin Ye yaad rahe ke hamari ankh sone ke mahel tak muqayyid (limited) nahi honi chahiye hame us sonay ke Khubsurat mahel ke malik par nazar honi chahiye aur sochna chahiye ke itne khubsurat o la-qeemat Mahelon ka banane wala kitna Khubsurat hoga. SubhanAllah, yehi hamari taleem hai, yahi humara mazhab hai aur yahi hamari manzil 


Jazakhallah khair 

Comments

Popular posts from this blog

Tafseer Noor-e-iman (Surah-e-Fatiha)