Aaj ka paigham 13-04-2021

Assalamalaikum vo rahmathullahi vo barkatuhu 


Aaj ka paigham 


Hazrat Sahl Ibn-e saad RZ Se Marwi (narrated by) hai farmaya RasoolAllah SWS ne ke "Jannat Mein aath (8) darwaze hain, un mein aik darwaze ka naam "Rayyan" hai, us darwaaze se wahi jayenge jo rozay rakhte hain. (Bukhari)


Allah hame roze rakhne ki toufeekh de 
(Ameen)

Ramazan Allah ki bahot badi ne'mat hai, is mein har ache kaam ki jaza (sawab/ return) sattar guna (70 times) badh jata hai. Is Maheene ki khusoosiyat mein ek khaas baat ye bhi hai ke is Maheene mein Qur'an-e shareef nazil hua Jaisa ke Qur'an-e Majeed mein hi farmaya gaya ke "Shahru Ramazanal lazeee unzila fihil Qur'an" (Surah: 2 Ayat: 185) yani Ramzan ka wo Mahina jis mein Qur'an utara gaya.


Allah Taala ne Qur'an majeed mein is Mahine ki fazeelat ka bayan aur Qur'an-e paak ka bayan ek sath kuch is tarah farmaya hai ki ek dusre ki fazeelat ek se badh kar ek nazar aati hai. 
Allah Ta'ala ne Farmaya "Ramazan hi wo mahina hai jis mein Qur'an nazil kiya gaya jo logon ki hidayat aur rahnumai ke liye hai (Surah-Baqara, Ayat 185)".


Qur'an ki fazilat ka bayan farmate hue Allah ke
Rasool SwS ne farmaya: "sab se ache woh log hai jo khud Qur'an ki talim hasil kare aur dusron ko bhi uski talim de".


Is baath ko aage rakhte hoove aap se guzarish karte hain ki aap is malumath ko theek se hasil karein aur dusroun tak b pahooncha-ein 

Jazakhallah khair 

Comments

Popular posts from this blog

Tafseer Noor-e-iman (Surah-e-Fatiha)