Aaj ka paigham

Assalamalaikum vo rahmathullahi vo barkatuhu 


Aaj ka paigham


Hazrat Abu baker RZ se riwayat hai ke Huzur SWS ne farmaya ke jis ne Ramazan ka ek roza bhi baghair koi majburi ke qaza kiya toh umr bhar ka roza bhi is ki qaza nahin ban sakta, agarche ke wo baad mein qaza roza rakh le. (Bukhari Shareef).


ROZA KIN KIN PAR FARZ HAI: 
1. Musalaman hona 
2. Balegh hona (yani taqreeban 10h standard walon ki umr) 
3. Aaqel hona (Matlab deewano par farz nahin) 
4. Tandrust hona (beemari mein muaf hai laikin qaza zaruri hai) 
5. Muqeem hona (Agar aap safar ka irada rakhte hoo aur falan jagha par 15 din se zyad rukne ka irada rakhte ho aap par roza farz hoojatahai ). 
6. Paak rahna.

Agar koi jaan booj kar roza chod de ya thod deta hai tho is ka jurmana (penalty) kya hai 

RAMAZAN KE ROZAY KA KAFFARA (YANI USKA JURMANA / PENALTY)

Sawal: Ramazan ka roza qasadan (aan bujh ke) ya be-ehtiyati se todh diya jaay toh uska kya kuffara hai?

Jawab: Hadees ki kitab Bukahri aur Muslim mein kuffare ki adaai ki tafseel aayi hai jis ka ijmaal (brief explanation) ye hai.

KAFFARA: Pahla KAFFARA hadees mein aaya hai ke ek ghulam azaad kiya jaay (Ab hamare yahan ghulamon ka daur nahin raha) Agar iski isteta'at (affordable) nahin hai ya koi aur majburi hai toh dusra kuffara Musalsil saat (60) rozay rakhna hai, agar is ki bhi isteta'at nahin hai (matlab rozaydar bahot kamzor hai ya beemar hai ke ye amal karna usse na-mumkin ho toh teesra hukm saathh (60) faqeeron ko do waqt khana khilana hai. Ramazan se hatt ke dusre rozay todhne par koi kuffara nahin hai. Wo is liye ke Ramazan ek bahot hi ehteram wala maheena hai aur is ke qanoon ki be-hurmati (violation) karna sakht gunah hai.


Is bath ko aage rakhte hoove Allah tala se dua karta hoon allah hame sahi raste pe chalne ki toufeeq de (Ameen)

Jazakhallah khairan 

Comments

Popular posts from this blog

Tafseer Noor-e-iman (Surah-e-Fatiha)