Aaj ka paigham
Assalamalaikum vo rahmathullahi vo barkatuhu
Aaj ka paigham
Sawal: kisi ne bhool se khaya piya toh roza rahega?
Jawab: Khane peene se usi waqt roza jayega jab ke rozadaar ko yaad rahe ke wo roza hai warna nahin jayega.
RasoolAlah SWS ne farmaya ke "jis rozadaar ne bhool kar khaya ya piya usay chahiye ke wo roza poora kare ke yeh usay Allah ne khilaya ya pilaya hai (Bukhari aur Muslim.) (Ye Ahadees ki Mash 'hur kitabe.n hain).
Bas aisa samjhlijiye ki vo Allah ki taraf se dawath hai
Abu Hurairah narrated that :
the Prophet said: Whoever does not leave false speech, and acting according to it, then Allah is not in any need of him leaving his food and his drink.
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جو ( «صائم» ) جھوٹ بولنا اور اس پر عمل کرنا نہ چھوڑے تو اللہ تعالیٰ کو اس کے کھانا پینا چھوڑنے کی کوئی ضرورت نہیں ہے“ ۱؎۔
Nabi akram sallallahu alaihi wasallam ne farmaya : ”jo jhoot bolna aur is par amal karna nah chhorey to Allah taala ko is ke khana piinaa chorney ki koi zaroorat nahi hai “
Jam e Tirmazi#707
Is baath ko aage rakhte hoove
Allah tala se dua karta hoon ki ham sabko jhoot boolne se aur jho kaam Allah ko napasand hai usko chod ne ki taufeeq de
(Ameen)
Jazakhallah khairan
Comments