Aaj ka paigham

Assalamalaikum vo rahmathullahi vo barkatuhu

Aaj ka paigham

And when his lord tested Ibraham A.S with certain words, and he fulfilled them. He said; 'Behold, I make you a leader (Imam) for the people'. Said he, "And of my seed" ? He said " (the benefit of ) my covenant shall not reach the evil doers".(Al-Baqarah)
Here the Qur-anic term "Imamul-Linnas" devotes a divinely guided spiritual leader. In the words of Ibraham" "and of my seed? there is a humble and an earnest prayer to make a leader (Imam) for the people from among my progeny too.

Jab Ibrahim (Alaihi Salaam) ko  unn ke Rabb ne kai kai baaton se aazmaya aur unhon ne sab ko poora kar diya to Allah Ta'aalaa ne farmaya mein tumhen logon ka imam bana doon ga, arz karne lage aur meri aulaad ko, farmaya mera wa'dah zaalimon tak nahi nahi pahoonche ga.

Ibrahim A.S ko allah tala bhouth aazmaishoon ke baad unse kheta hai ki hamne tumko loogoun ka imam Mukharrar kiya hai, tab Ibrahim A.S Allah tala se dua karte hain ki jaise tune mjhe imam banaya hai usshi tarah meri Aal (nasal)/(generation) se ek imam banayiyo jho Quran-e-paak ko bayan kare aur logon tak pahoonchaye. Tab Allah tala is dua ko qabool karte hain aur farmate hain ki mera wa'dah zalimoon tak nahi pahoonchega.

Mahdi mauood A.S farmate hain ki Mai iss dua ka natija hoon.

Jazakhallah khairan  

Comments

Popular posts from this blog

Tafseer Noor-e-iman (Surah-e-Fatiha)