Aaj ka paigham

Assalamalaikum vo rahmathullahi vo barkatuhu 

Aaj ka paigham 

Ramazan Allah ki bahot badi ne'mat hai, is mein har ache kaam ki jaza (sawab/ return) sattar guna (70 times) badh jata hai. Is Maheene ki khusoosiyat mein ek khaas baat ye bhi hai ke is Maheene mein Quran-e shareef nazil hua Jaisa ke Qur'an-e Majeed mein hi farmaya gaya ke "Shahru Ramazanal lazeee unzila fihil Qur'an" (Surah: 2 Ayat: 185) yani Ramzan ka wo Mahina jis mein Qur'an utara gaya.

Yahan aap ko ye khayal aa sakta hai ke Qu'ran toh wahi ke zariye ahista ahista utara gaya tha (poore 23 saal ke period mein) toh phir ye kahna ke Quran
Ramazan mein utara gaya hai ke kya maaney hain?

Is ka jawab ye hai ke yahan us
Qur'an ki baat ki ja rahi hai jise Allah ne Loh-e mahfooz se (yani saatwen asman se) sama-e duniya (yani Duniya ke asmaan yani pahle asmaan) par utara tha.

 بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

اِنَّاۤ اَنۡزَلۡنٰهُ فِىۡ لَيۡلَةِ الۡقَدۡرِ ۖ ۚ‏ ﴿97:1﴾

1. Yaqeenan Hum ne issay (Quran ko) shab-e-qadr mein naazil farmaya
 وَمَاۤ اَدۡرٰٮكَ مَا لَيۡلَةُ الۡقَدۡرِؕ‏ ﴿97:2﴾ 

2. Tu kya samjha ke shab-e-qadr kya hai?

لَيۡلَةُ الۡقَدۡرِ  ۙ خَيۡرٌ مِّنۡ اَلۡفِ شَهۡرٍ﴿97:3﴾ 

3. Shab-e-qadr ek hazaar maheeno se behtar hai

تَنَزَّلُ الۡمَلٰٓـئِكَةُ وَالرُّوۡحُ فِيۡهَا بِاِذۡنِ رَبِّهِمۡ​ۚ مِّنۡ كُلِّ اَمۡرٍ (97:4

4. Iss (mein har kaam) ke sar-anjaam dene ko apne Rabb ke hukum se farishtay aur rooh (Jibrael Alaihi Salaam) utartay hein
 سَلٰمٌ ۛهِىَ حَتّٰى مَطۡلَعِ الۡفَجۡرِ﴿97:5﴾

5. Yeh raat sarasar salaamati ki hoti hai aur fajr ke tuloo hone tak (rehti hai)

Isse ye mlm hoota hai ki SHAB-E-QADAR hi vooo rath hai jisme quran ko nazil kiya gaya aur ye raath 1000 mahinoon se afwal raath hai
Iss raath me sare farishte aur Jibrael A.S uttar te hain
Ye raath fajar ke tuloo hoone tak rahti hai

Jazakhallah khairan 

Comments

Popular posts from this blog

Tafseer Noor-e-iman (Surah-e-Fatiha)